You could put your verification ID in a comment Or, in its own meta tag

Tuesday, 15 January 2013


COMPULSORY DOCUMENTS FOR COUNSLING

  1.   10th Marksheet & Sanad 
  2.  12th Marksheet & Sanad
  3.  Graduation Marksheet & Degree ya Provisional Certificate (Jisne bhi abhi ek bhi provisional nahi banvaya hai. Counseling se pahle banva le )
  4.  B.Ed. Marksheet , Degree ya Provisional Certificate & NCTE approval letter (Jisne bhi abhi ek bhi provisional nahi banvaya hai. Counseling se pahle banva le )
  5. TET 1-5 Certificate (Jisne abhi tak nahi liya hai turant apne Mandal ke JD Office se le le)
  6. Nivas Praman Patra (Nivas Praman ptra satyapan ke liye click kare http://bor.up.nic.in/ppsatyapan/satyapan.aspx 
  7. jinka parman patra upar diye aye link par na ho vo http://edistrict.up.nic.in/certificate/certVerify.aspx is par bhi check kar le.)
  8. Caste Certificate (OBC/SC/ST ke liye)( satyapan ke liye click kare http://bor.up.nic.in/ppsatyapan/satyapan.aspx)
  9. Viklang Certificate (Physical Handicap students only)(CMO Office se bana hua)
  10. Notry se bani 10 rs ke stamp par 2 sapth jo Vigyapan ke page number 16 ke praroop par honi chahiye.(Vakil/Vendor ko paise dekar banava le )
  11. Registration Slip, E challan ki student copy & Avedan ka Print. (Kho gai hai to Edit kar ke banva le. jo person meri tarah Computer me farji kaam karne me expert ho uski sahayata le. Duplicate Banate samay sabhi technical baato ka dhyan rakhe. Kisi kam IQ vale person ka istemal na kare)
  12.  4 Passport size photo jo Avedan me lagai hai. (Same photo ki jaroorat padegi extra 8-10 aur rakh le. Shaadi me bhi kaam aa jayegi)
  13. Original Pahchan patra Jo Avedan me mention kiya hai. (GO ke anusaar vahi ID chahiye jo aapne form me likhi hai. Kho jane ke case me DIET se jakar is matter ko puchh le)
  14.  Upar diye gaye sabhi documents ki 2-3 Set attested photocopy set. (4 set banava le to bahtar hai. 2 set Gustted adhikari se attest kara kar rakh le. 2 set blank rakhe. Agar Self maange to khud aapko sign karne me kitni der lagegi. Lekin counseling ke samay gusted adhikari ek dam se milna muskil hota hai. Gustted adhikari ya principal se attest 2 set jaroor rakhe )
  15. Ek plastic document bag jisme rakh kar apne certificate DIET me jama karege. (Plastic document bag aisa le jiske ander aapki sari degree aur marksheet band ho jaye. Kuch DIET UP me to jangal me basi hai janha aas paas stationary ki dukaan bhi nahi hai. Isliye 15-20 rs kharch kar lejiyega pahle he) 
  16. Vaise iske baad shayad aapko koi confusion na rahe. Agar phir bhi koi baat clear karni hai to www.uptetinfo.wapka.mobi par jaker click kare. Us par Inquiry ke liye apni mail id aor msg box me apni problem likh kar send click kar dejiyega. Aapka Saval mujh tak pahuch jayega aur jald he uska reply aapko mil jayega. Ye sabhi suchanaye meri apni jaankari ke anusaar hai. Aap bhi apne ister jankari kar le becoj I am not any official person.

No comments:

Post a Comment